Main hu koi bag toh
Tu meri bahaar hai
Tu hai gul banker ke aai
Zindagi gulzaar hai
Main kahta h uteri raaho se
Wo mujhse aakar mil jaae
Main chahta hu har lamha bas
Tujhse mil karke klhil jaae
Chup chap betha main hu
Kuch bol nhi rha hu main
Baatain to hai hazaaro par
Muh khol nhi rha hu main
Kholu to kiske saamne
Akela hu koi sath nhi
Main toh khamosh bhi rh lunga
Mere liye badi baat nhi
Par ye jo deewarain hai ghere
Ye chup nhi rh skti
Cheekhti hai sham swere
Khamoshi nhi sah skti
Main to kone main betha hua
Apne khyalo main kho lunga
Te hawaaye mujhse bolegi
Main tab bhi kuch naa bolunga
Paani bhi gungunaaega
Apni aawaj sunaaega
Kaisi uski zindgani
Wo mujhko bhi batlaaega
Main kar lunga badlav khudme
Par duniya badal nhi paaegi
Main ho lunga door sabse
Par duniya paas bulaaegi
Tu bas ek baar to aajana
Ye zindgaani badal jaaegi
Jab tu dekhegi mujhko to
Khud pahchan naa paaegi
Tu jeet h zindgi ki
Tu hi meri haar hai
Tu mera junoon hai
Tu hi mera khumaar hai
Main hu koi bag toh
Tu meri bahaar hai
Tu hai gul banker ke aai
Zindagi gulzaar hai
TUSHAR GAUTAM
Email: [email protected]
bhut bdiya kvita likhi hai aapne prem pr